KHayal-o-KHwab Ka Sara Dhuan Utar Chuka Hai

KHayal-o-KHwab ka sara dhuan utar chuka hai

yaqin ke taq mein suraj koi Thahar chuka hai

mujhe uTha ke samundar mein phenkne walo

ye dekho ek jazira yahan ubhar chuka hai

main ek naqsh, jo ab tak na ho saka pura

wo ek rang, jo taswir-e-jaan mein bhar chuka hai

ye koi aur hi hai mujh mein jo jhalakta hai

tumhein talash hai jis ki wo kab ka mar chuka hai

tere jawab ki ummid jaan se bandhe hue

mera sawal hawa mein kahin bikhar chuka hai

na tar-tar hai daman, na hai gareban chaak

ajib shakl junun iKHtiyar kar chuka hai

musafiron se kaho apni pyas bandh rakhen

safar ki ruh mein sahra koi utar chuka hai

wo jab ki tujh se umiden thin meri duniya ko

wo waqt bit chuka hai wo gham guzar chuka hai

'nabil' aisa karo tum bhi bhul jao use

wo shaKHs apni har ek baat se mukar chuka hai

(1022) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHayal-o-KHwab Ka Sara Dhuan Utar Chuka Hai In English By Famous Poet Aziz Nabeel. KHayal-o-KHwab Ka Sara Dhuan Utar Chuka Hai is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem KHayal-o-KHwab Ka Sara Dhuan Utar Chuka Hai for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download KHayal-o-KHwab Ka Sara Dhuan Utar Chuka Hai in PDF.