Kuchh Der To Duniya Mere Pahlu Mein KhaDi Thi

kuchh der to duniya mere pahlu mein khaDi thi

phir tir bani aur kaleje mein gaDi thi

aaankhon ki fasilon se lahu phuT raha tha

KHwabon ke jazire mein koi lash paDi thi

sab rang nikal aae the taswir se bahar

taswir wahi jo mere chehre pe juDi thi

main chand hatheli pe liye jhum raha tha

aur TuTte taron ki har ek samt jhaDi thi

alfaz kisi sae mein dam lene lage the

aawaz ke sahra mein abhi dhup kaDi thi

phir main ne use pyar kiya dil mein utara

wo shakl jo kamre mein zamane se paDi thi

har shaKHs ke hathon mein tha KHud us ka gareban

ek aag thi sanson mein aziyyat ki ghaDi thi

(689) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Der To Duniya Mere Pahlu Mein KhaDi Thi In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Kuchh Der To Duniya Mere Pahlu Mein KhaDi Thi is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Kuchh Der To Duniya Mere Pahlu Mein KhaDi Thi for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Kuchh Der To Duniya Mere Pahlu Mein KhaDi Thi in PDF.