Subh Aur Sham Ke Sab Rang HaTae Hue Hain

subh aur sham ke sab rang haTae hue hain

apni aawaz ko taswir banae hue hain

ab hamein chaak pe rakh ya KHas-o-KHashak samajh

kuza-gar hum teri aawaz pe aae hue hain

hum nahin itne tahi-chashm ki ro bhi na saken

chand aansu abhi aankhon mein bachae hue hain

hum ne KHud apni adalat se saza pai hai

zaKHm jitne bhi hain apne hi kamae hue hain

ai KHuda bhej de ummid ki ek taza kiran

hum sar-e-dast-e-dua hath uThae hue hain

har naya lamha hamein raund ke jata hai ki hum

apni muTThi mein gaya waqt chhupae hue hain

ek muddat hui tum aae na paigham koi

phir bhi kuchh yun hai ki hum aas lagae hue hain

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Aur Sham Ke Sab Rang HaTae Hue Hain In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Subh Aur Sham Ke Sab Rang HaTae Hue Hain is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Subh Aur Sham Ke Sab Rang HaTae Hue Hain for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Subh Aur Sham Ke Sab Rang HaTae Hue Hain in PDF.