Sar-e-sahra-e-jaan Hum Chaak-damani Bhi Karte Hain
sar-e-sahra-e-jaan hum chaak-damani bhi karte hain
zarurat aa paDe to ret ko pani bhi karte hain
kabhi dariya uTha late hain apni TuTi kashti mein
kabhi ek qatra-e-shabnam se tughyani bhi karte hain
kabhi aisa ki aaankhon mein nahin rakhte hain koi KHwab
kabhi yun hai ki KHwabon ki farawani bhi karte hain
hamesha aap ka har hukm sar aaankhon pe rakhte hain
magar ye yaad rakhiyega ki man-mani bhi karte hain
miyan tum dost ban kar jo hamare sath karte ho
wahi sab kuchh hamare dushman-e-jaani bhi karte hain
ye kya qatil hain, pahle qatl karte hain mohabbat ka
phir us ke baad izhaar-e-pashemani bhi karte hain
tujhe tamir kar lena to ek aasan sa fan hai
rifaqat ke mahal! hum teri darbani bhi karte hain
(828) Peoples Rate This