Parinde Jhil Par Ek Rabt-e-ruhani Mein Aae Hain

parinde jhil par ek rabt-e-ruhani mein aae hain

kisi bichhDe hue mausam ki hairani mein aae hain

musalsal dhund halki raushni bhige hue manzar

ye kin barsi hui aaankhon ki nigrani mein aae hain

kai sahil yahan Dube hain aur girdab TuTe hain

kai tufan is Thahre hue pani mein aae hain

main jin lamhon ke sae mein tumhaare pas pahuncha hun

wo lamhe sajda ban kar meri peshani mein aae hain

nazar bhar kar use dekho to yun mahsus hota hai

hazaron rang ek chehre ki tabani mein aae hain

(2871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parinde Jhil Par Ek Rabt-e-ruhani Mein Aae Hain In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Parinde Jhil Par Ek Rabt-e-ruhani Mein Aae Hain is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Parinde Jhil Par Ek Rabt-e-ruhani Mein Aae Hain for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Parinde Jhil Par Ek Rabt-e-ruhani Mein Aae Hain in PDF.