Na Jaane Kaisi Mahrumi Pas-e-raftar Chalti Hai

na jaane kaisi mahrumi pas-e-raftar chalti hai

hamesha mere aage aage ek diwar chalti hai

wo ek hairat ki main jis ka taaqub roz karta hun

wo ek wahshat mere hamrah jo har bar chalti hai

nikal kar mujh se bahar lauT aati hai meri jaanib

meri diwangi ab surat-e-parkar chalti hai

ajab andaz-e-ham-safari hai ye bhi qafile walo

hamare darmiyan ek aahani diwar chalti hai

ghazal kahna bhi ab ek kar-e-be-masraf sa lagta hai

naya kuchh bhi nahin hota bas ek takrar chalti hai

'nabil' is ishq mein tum jit bhi jao to kya hoga

ye aisi jit hai pahlu mein jis ke haar chalti hai

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Jaane Kaisi Mahrumi Pas-e-raftar Chalti Hai In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Na Jaane Kaisi Mahrumi Pas-e-raftar Chalti Hai is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Na Jaane Kaisi Mahrumi Pas-e-raftar Chalti Hai for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Na Jaane Kaisi Mahrumi Pas-e-raftar Chalti Hai in PDF.