Moajaze Ka Dar Khula Aur Ek Asa Raushan Hua

moajaze ka dar khula aur ek asa raushan hua

dur gahre paniyon mein rasta raushan hua

jaane kitne surajon ka faiz hasil hai use

is mukammal raushni se jo mila raushan hua

aankh walon ne chura li raushni sari to phir

ek andhe ki hatheli par diya raushan hua

ek wahshat daera-dar-daera phirti rahi

ek sahra silsila-dar-silsila raushan hua

mustaqil ek be-yaqini, ek musalsal intizar

phir achanak ek chehra ja-ba-ja raushan hua

aaj phir jalne lage bite hue kuchh KHas pal

aaj phir ek yaad ka aatish-kada raushan hua

jaane kis aalam mein likkhi ye ghazal tum ne 'nabil'

KHamushi bujhne lagi, shahr-e-sada raushan hua

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Moajaze Ka Dar Khula Aur Ek Asa Raushan Hua In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Moajaze Ka Dar Khula Aur Ek Asa Raushan Hua is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Moajaze Ka Dar Khula Aur Ek Asa Raushan Hua for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Moajaze Ka Dar Khula Aur Ek Asa Raushan Hua in PDF.