Mera Sawal Hai Ai Qatilan-e-shab Tum Se

mera sawal hai ai qatilan-e-shab tum se

ki ye zamin munawwar hui hai kab tum se

charagh baKHshe gae shahr-e-be-basarat ko

ye kar-e-KHair bhi sarzad hua ajab tum se

wo ek ishq jo, ab tak hai tishna-e-takmil

wo ek dagh jo raushan hai roz-o-shab tum se

meri numud mein wahshat hai, meri soch mein shor

bahut alag hai meri zindagi ka Dhab tum se

mere KHitab ki shiddat pe chiKHne walo

tumhaare lahje mein goya hua hun ab tum se

shikasta rishton ki hathon mein Dor thame hue

main puchhta hun mere dosto sabab tum se

tumhaare nam ki tohmat hai mere sar pe 'nabil'

juda hai warna mera shajra-e-nasab tum se

(767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Sawal Hai Ai Qatilan-e-shab Tum Se In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Mera Sawal Hai Ai Qatilan-e-shab Tum Se is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Mera Sawal Hai Ai Qatilan-e-shab Tum Se for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Mera Sawal Hai Ai Qatilan-e-shab Tum Se in PDF.