Main Nind Ke Aiwan Mein Hairan Tha Kal Shab

main nind ke aiwan mein hairan tha kal shab

ek KHwab meri aankh ka mehman tha kal shab

kis gham mein bikharte rahe aakash pe tare

kyun chand pareshan pareshan tha kal shab

har aan koi yaad chamakti rahe dil mein

har lamha koi shor tha, tufan tha kal shab

kya jaaniye kya us ki nadamat ka sabab tha

kya jaaniye kyun main bhi pasheman tha kal shab

Thahri hui lagti thi hawa aur har ek shai

jaise ki badan waqt ka be-jaan tha kal shab

ek nur sa phaila raha us samt se is samt

jugnu meri ummid ki pahchan tha kal shab

phir subh-e-munawwar ki bashaarat hui mujh ko

phir dur talak rasta aasan tha kal shab

(975) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Nind Ke Aiwan Mein Hairan Tha Kal Shab In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Main Nind Ke Aiwan Mein Hairan Tha Kal Shab is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Main Nind Ke Aiwan Mein Hairan Tha Kal Shab for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Main Nind Ke Aiwan Mein Hairan Tha Kal Shab in PDF.