Main Dastaras Se Tumhaari Nikal Bhi Sakta Hun

main dastaras se tumhaari nikal bhi sakta hun

ye soch lo ki main rasta badal bhi sakta hun

tumhaare baad ye jaana ki main jo patthar tha

tumhaare baad kisi dam pighal bhi sakta hun

qalam hai hath mein kirdar bhi mere bas mein

agar main chahun kahani badal bhi sakta hun

meri sirisht mein waise to KHushk dariya hai

agar pukar le sahra ubal bhi sakta hun

use kaho ki gurezan na yun rahe mujh se

main ehtiyat ki barish mein jal bhi sakta hun

(1110) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Dastaras Se Tumhaari Nikal Bhi Sakta Hun In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Main Dastaras Se Tumhaari Nikal Bhi Sakta Hun is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Main Dastaras Se Tumhaari Nikal Bhi Sakta Hun for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Main Dastaras Se Tumhaari Nikal Bhi Sakta Hun in PDF.