Suno Musafir! Sarae-jaan Ko Tumhaari Yaaden Jala Chuki Hain

suno musafir! sarae-jaan ko tumhaari yaaden jala chuki hain

mohabbaton ki hikayaten ab yahan se Dera uTha chuki hain

wo shahr-e-hairat ka shahzada giraft-e-idrak mein nahin hai

us ek chehre ki hairaton mein hazar aankhen sama chuki hain

hum apne sar par guzishta din ki thakan uThae bhaTak rahe hain

dayar-e-shab teri KHwab-gahen tamam parde gira chuki hain

badalte mausam ki silwaTon mein dabi hain hijrat ki dastanen

wo dastanen jo sunne walon ki nind kab ki uDa chuki hain

wo sari subhen tamam shamen ki jin ke mathe pe hum likhe the

suna hai kal shab tumhaare dar par lahu ke aansu baha chuki hain

kahan se aae the tir hum par, tanaben KHemon ki kis ne kaTin

gurez karti hawaen hum ko tamam baaten bata chuki hain

dhuen ke baadal chhaTe to hum ne 'nabil' dekha ajib manzar

KHamoshiyon ki sulagti chiKHen faza ka sina jala chuki hain

(968) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suno Musafir! Sarae-jaan Ko Tumhaari Yaaden Jala Chuki Hain In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Suno Musafir! Sarae-jaan Ko Tumhaari Yaaden Jala Chuki Hain is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Suno Musafir! Sarae-jaan Ko Tumhaari Yaaden Jala Chuki Hain for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Suno Musafir! Sarae-jaan Ko Tumhaari Yaaden Jala Chuki Hain in PDF.