Waqt Ki Aankh Mein Sadiyon Ki Thakan Hai, Main Hun

waqt ki aankh mein sadiyon ki thakan hai, main hun

dhul hote hue raston ka badan hai, main hun

phir tera shahr ubhar aaya hai mere har su

phir wahi log, wahi tarz-e-suKHan hai, main hun

ek tarik sitare ka safar hai darpesh

aur ummid ki ek taza karan hai, main hun

ek jangal hai, ghane peD hain, ek nahr hai aur

ek shikari hai, koi zaKHmi hiran hai, main hun

kaun batlae tujhe ai mere ham-zad 'nabil'

tere ham-rah jo ek aur badan hai, main hun

(1500) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ki Aankh Mein Sadiyon Ki Thakan Hai, Main Hun In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Waqt Ki Aankh Mein Sadiyon Ki Thakan Hai, Main Hun is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Waqt Ki Aankh Mein Sadiyon Ki Thakan Hai, Main Hun for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Waqt Ki Aankh Mein Sadiyon Ki Thakan Hai, Main Hun in PDF.