Zamin Ki Aankh Se Manzar Koi Utarte Hain
zamin ki aankh se manzar koi utarte hain
hawa ka aks chalo ret par ubhaarte hain
KHud apne hone ka inkar kar chuke hain hum
hamari zindagi ab dusre guzarte hain
tumhaari jit ka tum ko yaqin aa jae
so hum tumhaare liye bar bar haarte hain
talash hai hamein kuchh gum-shuda bahaaron ki
guzar chuke hain jo mausam unhen pukarte hain
chamak rahe hain mere KHema-e-suKHan har-su
harif dekhiye shab-KHun kaise marte hain
ye kaisi hairaten darpesh hain aziz-'nabil'
zara Thaharte hain aaseb-e-jaan utarte hain
(971) Peoples Rate This