Dil-KHastagan Mein Dard Ka Aazar Koi To Aae

dil-KHastagan mein dard ka aazar koi to aae

patthar se mere KHwab ka paikar koi to aae

dariya bhi ho to kaise Dubo den zamin ko

palkon ke par gham ka samundar koi to aae

chaukhaT se haal puchha to bazar se suna

ek din gharib-KHane ke andar koi to aae

jo zaKHm doston ne diye hain wo chhup to jaen

par dushmanon ki samt se patthar koi to aae

hain nauhagar hazar sana-KHwan hazar hain

mere siwae tir ki zad par koi to aae

lakhon jab aa ke ja chuke kya mil gaya miyan

ab bhi ye sochte ho payambar koi to aae

shikwa durust 'qaisi' ke paiham sukut ka

lekin is anjuman mein suKHnawar koi to aae

(954) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-KHastagan Mein Dard Ka Aazar Koi To Aae In English By Famous Poet Aziz Qaisi. Dil-KHastagan Mein Dard Ka Aazar Koi To Aae is written by Aziz Qaisi. Read famous Poem Dil-KHastagan Mein Dard Ka Aazar Koi To Aae for youth and Student by Aziz Qaisi. Free Download Dil-KHastagan Mein Dard Ka Aazar Koi To Aae in PDF.