Har Aankh Lahu Sagar Hai Miyan Har Dil Patthar SannaTa Hai

har aankh lahu sagar hai miyan har dil patthar sannaTa hai

ye ganga kis ne paTi hai ye parbat kis ne kaTa hai

chahat nafrat duniya uqba ye KHair KHarabi dard dawa

har dhanda ji ka jokhim hai har sauda jaan ka ghaTa hai

kya jog samadhi-o-rasdhi kya kashf-o-karamat jazb-o-junun

sab aag hawa pani miTTi sab dal namak aur aaTa hai

ye ras rang ye mel milan ek hath mein chand ek mein suraj

ek raat ka mauj maza sara ek din ka sair-sapaTa hai

ghaT ghaT andhera hai kaise bhandhoge kahan nayya apni

aawaz kise doge 'qaisi' chau-dham yahan sannaTa hai

(919) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Aankh Lahu Sagar Hai Miyan Har Dil Patthar SannaTa Hai In English By Famous Poet Aziz Qaisi. Har Aankh Lahu Sagar Hai Miyan Har Dil Patthar SannaTa Hai is written by Aziz Qaisi. Read famous Poem Har Aankh Lahu Sagar Hai Miyan Har Dil Patthar SannaTa Hai for youth and Student by Aziz Qaisi. Free Download Har Aankh Lahu Sagar Hai Miyan Har Dil Patthar SannaTa Hai in PDF.