MiTa Ke Anjuman-e-arzu Sada Di Hai

miTa ke anjuman-e-arzu sada di hai

chale bhi aao ki har raushni bujha di hai

gar ittifaq se paya hai qatra-e-shabnam

samundaron ko meri pyas ne dua di hai

hujum-e-rah-e-rawan raund kar guzarta hai

bisat dil ki kahan hum ne ye bichha di hai

dilon ka KHun karo salim rakho gareban ko

junun ki rasm zamana hua uTha di hai

na muD ke dekhegi duniya maro na ghuT ghuT ke

ye hadson pe hi bas chaunkne ki aadi hai

kisi ki jaan ka zamin nahin yahan koi

amin-e-shahr ki jaanib se ye munadi hai

kaho jo kahna hai kya pas-e-dard 'qaisi' ka

ki us ne dil se wo buniyaad hi miTa di hai

(964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MiTa Ke Anjuman-e-arzu Sada Di Hai In English By Famous Poet Aziz Qaisi. MiTa Ke Anjuman-e-arzu Sada Di Hai is written by Aziz Qaisi. Read famous Poem MiTa Ke Anjuman-e-arzu Sada Di Hai for youth and Student by Aziz Qaisi. Free Download MiTa Ke Anjuman-e-arzu Sada Di Hai in PDF.