Pas-e-tark-e-ishq Bhi Umr-bhar Taraf-e-mizha Pe Tari Rahi

pas-e-tark-e-ishq bhi umr-bhar taraf-e-mizha pe tari rahi

meri kisht-e-jaan bhi ajib hai ki KHizan ke sath hari rahi

kai bar daur-e-kasad mein gire mehr-o-mah ke dam bhi

magar ek qimat-e-jins-e-dil jo khari rahi to khari rahi

na wo rasm-e-pardagi-e-wafa na chhupa chhupa sa payam hai

na shamim-o-gul se kalam hai na saba ki nama-bari rahi

main tahi-nasib sahi magar meri chashm-e-nam ko dua to de

teri mang ai shab-e-zindagi sada motiyon se bhari rahi

sar-e-dasht-e-tar guzar len kisi taur raat ye umr ki

na lagegi aankh agar yun hi hamein fikr-e-shab-basri rahi

(871) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pas-e-tark-e-ishq Bhi Umr-bhar Taraf-e-mizha Pe Tari Rahi In English By Famous Poet Aziz Qaisi. Pas-e-tark-e-ishq Bhi Umr-bhar Taraf-e-mizha Pe Tari Rahi is written by Aziz Qaisi. Read famous Poem Pas-e-tark-e-ishq Bhi Umr-bhar Taraf-e-mizha Pe Tari Rahi for youth and Student by Aziz Qaisi. Free Download Pas-e-tark-e-ishq Bhi Umr-bhar Taraf-e-mizha Pe Tari Rahi in PDF.