Unhen Sawal Hi Lagta Hai Mera Rona Bhi

unhen sawal hi lagta hai mera rona bhi

ajab saza hai jahan mein gharib hona bhi

ye raat raat bhi hai oDhna-bichhauna bhi

is ek raat mein hai jagna bhi sona bhi

wo habs-e-dam hai zamin aasman ki wusat mein

ki aisa tang na hoga lahad ka kona bhi

ajib shahr hai ghar bhi hain raston ki tarah

kise nasib hai raaton ko chhup ke rona bhi

khule mein soenge phir motiya ke phulon se

sajao zulf basa lo zara bichhauna bhi

najat-e-ruh bhi arzan nushur-e-dil ki tarah

hua hai sahl zamiron ke dagh dhona bhi

'aziz' kaisi ye saudagaron ki basti hai

garan hai dil se yahan kaTh ka khilauna bhi

(1320) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Unhen Sawal Hi Lagta Hai Mera Rona Bhi In English By Famous Poet Aziz Qaisi. Unhen Sawal Hi Lagta Hai Mera Rona Bhi is written by Aziz Qaisi. Read famous Poem Unhen Sawal Hi Lagta Hai Mera Rona Bhi for youth and Student by Aziz Qaisi. Free Download Unhen Sawal Hi Lagta Hai Mera Rona Bhi in PDF.