Walihana Mere Dil Mein Meri Jaan Mein Aa Ja

walihana mere dil mein meri jaan mein aa ja

mere iman mein mere wahm-o-guman mein aa ja

mund in aankhon ko sahab nazran mein aa ja

hadd-e-nazargi-e-kaun-o-makan mein aa ja

aayat-e-rahmat-e-yazdan ki tarah dil mein utar

ek ek lafz mein ek ek bayan mein aa ja

tujhe sine se laga lun tujhe dil mein rakh lun

dard ki chhanw mein zaKHmon ki aman mein aa ja

kuchh to ima-e-karam ho nigah-e-zaKHm-nawaz

ab ke abru-e-kashida ki kaman mein aa ja

raunaq-e-jaan na sahi surat-e-aseb sahi

mere ujDe hue tarik makan mein aa ja

hai tamanna-e-sukun dil ko to 'qaisi' ki tarah

halqa-e-dard-e-mohabbat-zadagan mein aa ja

(999) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Walihana Mere Dil Mein Meri Jaan Mein Aa Ja In English By Famous Poet Aziz Qaisi. Walihana Mere Dil Mein Meri Jaan Mein Aa Ja is written by Aziz Qaisi. Read famous Poem Walihana Mere Dil Mein Meri Jaan Mein Aa Ja for youth and Student by Aziz Qaisi. Free Download Walihana Mere Dil Mein Meri Jaan Mein Aa Ja in PDF.