Aaine Se

aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai tu

tu ne wo zulf wo mukhDa wo dahan dekha hai

un ke har haal ka be-saKHta-pan dekha hai

wo na KHud dekh saken jis ko nazar bhar ke kabhi

tu ne ji bhar ke wo har KHatt-e-badan dekha hai

un ki tanhai ka dildar hai dam-saz hai tu

aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai tu

kya wo shaer ki tarah KHud ko kabhi dekhte hain

TikTiki bandh ke kya apni chhabi dekhte hain

shoKH masum jawan mast sajal be-parwa

kya wo KHud apne ye andaz sabhi dekhte hain

itna gum-sum hai ki KHud apna hi andaz hai tu

aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai tu

kabhi ghabrae hue bhi to wo aate honge

dil ki dhaDkan ko jo ruKHsar pe pate honge

kanpta jism sambhaale na sambhalta hoga

apni aankhon se bhi KHud aankh churaate honge

zabt-e-na-kaam ka ghabraya hua naz hai tu

aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai tu

maKHmalin zulf banane wo jab aaenge na

pahle us chand se mukhDe ki balaen lena

phir zaban tujh ko jo mil jae sargoshi mein

husn ko aur nikharne ki duaen dena

KHalwat-e-husn mein ek ishq ki aawaz hai tu

aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai to

(956) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaine Se In English By Famous Poet Aziz Qaisi. Aaine Se is written by Aziz Qaisi. Read famous Poem Aaine Se for youth and Student by Aziz Qaisi. Free Download Aaine Se in PDF.