AaKHiri Din Se Pahle

aur dekho ye wo shaKHs hai jo azal se yunhi chal raha hai

yunhi jagte mein bhi chalta hai sote mein bhi

is ke ek hath mein qurs-e-mahtab hai dusre

hath mein kurra-e-arz hai panw talwar ki dhaar par hain

aur dekho ki asmat mein bhiD hai ye wahi log hain

jo nahin jaante hain ki wo kuchh nahin jaante

aur dekho ki wo shaKHs jo nekiyon aur gunahon ke misqal

uThae hue chal raha hai wo ye jaanta hai ki is bhiD

mein kuchh khule log hain kuchh chhupe log hain wo kisi

lamhe us shaKHs par apni jalti hui muTThiyan phenk denge

wo dhamake chhupae hue muTThiyon mein khaDe hain

aur dekho agar kurra-e-arz aur qurs-e-mahtab ko

rakkhen mizan mein ek jaanib udhar un dhamakon

ko rakkhen to donon barabar hi niklenge lekin

ye insaf kaise ho? andha to mizan usi waqt

uThaega jab ki wo shaKHs pul se salamat guzar jae

andhe ne kab se munadi yahi kar rakhi hai

laThi se anjaan ko bhi muafi nahin mil sakegi

aur dekho ki wo log jo jaante hain ki wo jaante hain

rassiyan un ki lambi hain wo is liye to andhe hi

ko baKHshte hain na laThi ko

un ke dilon par samaat basarat pe mohren lagi hain

aur dekho ki ye pul bhi kaisa hai KHala us ke upar hai

niche andhera hai donon sire us ke zulmat mein hain

wo jo kahte hain zulmat ke niche murdon ki ek saltanat hai

kya wo ye nahin jaante hain ki murdon ki wo saltanat kis jagah hai

kya wo ye nahin jate hain ki wo shaKHs wo KHud hain

un ko jata do adam ka KHala aur murdon ki saltanat to

yahin hai tumhaari khuli aur chhupi muTThiyon mein!

(953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHiri Din Se Pahle In English By Famous Poet Aziz Qaisi. AaKHiri Din Se Pahle is written by Aziz Qaisi. Read famous Poem AaKHiri Din Se Pahle for youth and Student by Aziz Qaisi. Free Download AaKHiri Din Se Pahle in PDF.