Ba-nam-e-ibn-e-adam

ab tak tum se kaha gaya hai

insan fani maut aTal hai

jiwan jal hai

jis ki dhaar kabhi na TuTe

jo aata hai mar jata hai

jo aaega mar jaega

main tum se kahne aaya hun

insan la-fani hai amar hai

maut taghayyur ka ek pul hai

jiwan jal hai

jis ka koi ant nahin hai

rah jae to ye sagar hai

aur mar jae to baadal hai

(984) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ba-nam-e-ibn-e-adam In English By Famous Poet Aziz Qaisi. Ba-nam-e-ibn-e-adam is written by Aziz Qaisi. Read famous Poem Ba-nam-e-ibn-e-adam for youth and Student by Aziz Qaisi. Free Download Ba-nam-e-ibn-e-adam in PDF.