Makan Khaali Hai

wo ja chuka hai hamin ne use nikala hai

ye kya hua ki ek ek chiz uTh gai us ki

wo ek kone mein rahta tha par gaya jab se

har ek kone mein rahta dikhai deta hai

chamak rahi hain dar-o-baam us ki tahriren

Tahal rahi hain sadaen yahan-wahan us ki

kahin pe naqsh hai us ki nigah ka partaw

khudi hui hai kahin us ke panw ki aahaT

basa hua hai wo diwar-o-dar ke sine mein

bikhar chuka hai yahan ke har ek zarre mein

ajib tarah se aabaad hai ye virani

gala dabaata hai aaseb dam ulaTta hai

ye wahima hai

yahi aagahi to aa jae

KHuda nahin na sahi aadmi to aa jae

makan KHali hai kab se koi to aa jae

(2300) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Makan Khaali Hai In English By Famous Poet Aziz Qaisi. Makan Khaali Hai is written by Aziz Qaisi. Read famous Poem Makan Khaali Hai for youth and Student by Aziz Qaisi. Free Download Makan Khaali Hai in PDF.