Dahr Mein Ek Tere Siwa Kya Hai

dahr mein ek tere siwa kya hai

tu nahin hai to phir bhala kya hai

sila-e-zauq mai-kashi malum

zarf kya shai hai hausla kya hai

hashiye apne matn hai un ka

mohtasib phir saza jaza kya hai

puchhta hun har ek sae se

chandni ka ata-pata kya hai

un ko hai dawa-e-asihai

jo nahin jaante shifa kya hai

kis liye gardish-e-mudam mein hain

aasmanon ko ye hua kya hai

le uDegi buland-parwazi

dosto saya-e-huma kya hai

itni ifraat aisi mahrumi

dene wale moamla kya hai

sail-e-sham-o-sahar mein bahte hain

kya KHabar zist kya qaza kya hai

hum hi chup ho gae 'tamannai'

de raha hai koi sada kya hai

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dahr Mein Ek Tere Siwa Kya Hai In English By Famous Poet Aziz Tamannai. Dahr Mein Ek Tere Siwa Kya Hai is written by Aziz Tamannai. Read famous Poem Dahr Mein Ek Tere Siwa Kya Hai for youth and Student by Aziz Tamannai. Free Download Dahr Mein Ek Tere Siwa Kya Hai in PDF.