BaDhne De Abhi Kashmakash-e-tar-e-nafas Aur

baDhne de abhi kashmakash-e-tar-e-nafas aur

ai gosh-bar-awaz zara der taras aur

hum mail-e-parwaz rahe jitni lagan se

uThti hi gai utni hi diwar-e-qafas aur

ye aatish-e-shauq aur ye do-chaar phuwaren

ai abr-e-siyah-mast zara khul ke baras aur

ek qafila-e-zist bichhaD jae to kya gham

aati hai bahut dur se aawaz-e-jaras aur

farda mein bahaaron ke nishan DhunDne walo

kya hoga zamane ka chalan ab ke baras aur

hum ne jo 'tamannai' bayaban-e-talab mein

ek umr guzari hai to do-chaar baras aur

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDhne De Abhi Kashmakash-e-tar-e-nafas Aur In English By Famous Poet Aziz Tamannai. BaDhne De Abhi Kashmakash-e-tar-e-nafas Aur is written by Aziz Tamannai. Read famous Poem BaDhne De Abhi Kashmakash-e-tar-e-nafas Aur for youth and Student by Aziz Tamannai. Free Download BaDhne De Abhi Kashmakash-e-tar-e-nafas Aur in PDF.