Ufuq Ke Us Par Kar Raha Hai Koi Mera Intizar Shayad

ufuq ke us par kar raha hai koi mera intizar shayad

usi ki jaanib chali hai sham o sahar ki ye rahguzar shayad

qafas mein dur-o-daraaz se bhini bhini KHushbu si aa rahi hai

chaman chaman hum ko DhunDti hogi mauj-e-fasl-e-bahaar shayad

hazar bar aazma chuka hai magar abhi aazma raha hai

abhi zamane ko aadmi ka nahin hai kuchh e'tibar shayad

na shab ke gesu sanwar sake aur na din ke ruKH par nikhaar aaya

azal se mashshatgi ka har muddai hai na-puKHta-kar shayad

jo har nazar ko bhigo gai hai jo har nafas ko Dubo gai hai

wahi taghayyur ki mauj ek din banegi wajh-e-qarar shayad

wahi hai andaz-e-be-niyazi wahi hai raftar-e-be-shuuri

abhi tak aaankhon mein maujzan hai gae dinon ka KHumar shayad

na jaane hadd-e-nazar se Takra ke kyun tamannai lauT aae

hudud-e-arz-o-saman ke aage khincha hua hai hisar shayad

(1226) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ufuq Ke Us Par Kar Raha Hai Koi Mera Intizar Shayad In English By Famous Poet Aziz Tamannai. Ufuq Ke Us Par Kar Raha Hai Koi Mera Intizar Shayad is written by Aziz Tamannai. Read famous Poem Ufuq Ke Us Par Kar Raha Hai Koi Mera Intizar Shayad for youth and Student by Aziz Tamannai. Free Download Ufuq Ke Us Par Kar Raha Hai Koi Mera Intizar Shayad in PDF.