Pate Hain Kuchh Kami Si Taswir-e-zindagi Mein

pate hain kuchh kami si taswir-e-zindagi mein

kya naqsh chhoD aae hum dasht-e-be-KHudi mein

zinjir-e-agahi se shamshir-e-agahi tak

kya kya maqam aae dil ki sipah-gari mein

ji dekhne ko tarse dekhun to kis nazar se

tufan-e-KHirgi hai jalwon ki raushni mein

hasti bajae KHud hai ek kar-gah-e-hasti

hum mast-bandagi mein wo banda-parwari mein

DhunDe se bhi na pai sadiyon ki justuju ne

shamil thi jo tajalli tartib-e-unsuri mein

wo shai kahan hai pinhan ai mauj-e-ab-e-haiwan

jo wajh-e-sar-KHushi thi barson ki tishnagi mein

(892) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pate Hain Kuchh Kami Si Taswir-e-zindagi Mein In English By Famous Poet Aziz Tamannai. Pate Hain Kuchh Kami Si Taswir-e-zindagi Mein is written by Aziz Tamannai. Read famous Poem Pate Hain Kuchh Kami Si Taswir-e-zindagi Mein for youth and Student by Aziz Tamannai. Free Download Pate Hain Kuchh Kami Si Taswir-e-zindagi Mein in PDF.