Zindagi Yun To Guzar Jati Hai Aaram Ke Sath

zindagi yun to guzar jati hai aaram ke sath

kashmakash si hai magar gardish-e-ayyam ke sath

rifaten dekhti rah jati hain us ki parwaz

wo tasawwur ki hai wabasta tere nam ke sath

mil hi jaegi kabhi manzil-e-maqsud-e-sahar

shart ye hai ki safar karte raho sham ke sath

dam-e-hasti hai KHush-aind bhi dilkash bhi magar

uDte jate hain giraftar usi dam ke sath

jab kisi lamha-e-dauran ko TaTola hum ne

ru-e-aghaz nazar aaya hai anjam ke sath

un riwayat ko dohraate hain hum az-sar-e-nau

wo jo mansub hain sadiyon se tere nam ke sath

harf aae na 'tamannai' kahin saqi par

aaj mahfil mein chale aae hain hum jam ke sath

(946) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Yun To Guzar Jati Hai Aaram Ke Sath In English By Famous Poet Aziz Tamannai. Zindagi Yun To Guzar Jati Hai Aaram Ke Sath is written by Aziz Tamannai. Read famous Poem Zindagi Yun To Guzar Jati Hai Aaram Ke Sath for youth and Student by Aziz Tamannai. Free Download Zindagi Yun To Guzar Jati Hai Aaram Ke Sath in PDF.