Yunhi KaTe Na Rahguzar-e-muKHtasar Kahin

yunhi kaTe na rahguzar-e-muKHtasar kahin

paDte hain pae shauq kahin aur nazar kahin

mauhum-o-muKHtasar sahi pesh-e-nazar to hai

dekha kisi ne KHwab ye bar-e-digar kahin

mail-ba-justuju hain abhi ahl-e-ishtiyaq

duniyaen aur bhi hain wara-e-nazar kahin

baqi abhi qafas mein hai ahl-e-qafas ki yaad

bikhre paDe hain baal kahin aur par kahin

ab hum hain aur tilism-e-tamanna ki wusaten

DhunDe se bhi na mil saki rah-e-mafar kahin

har fasla hai jalwa-gah-e-mauj-e-ittisal

yani jabin-e-shauq kahin sang-e-dar kahin

sadiyon ka iztirab 'tamannai' saunp dun

mil jae koi lamha-e-fursat agar kahin

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yunhi KaTe Na Rahguzar-e-muKHtasar Kahin In English By Famous Poet Aziz Tamannai. Yunhi KaTe Na Rahguzar-e-muKHtasar Kahin is written by Aziz Tamannai. Read famous Poem Yunhi KaTe Na Rahguzar-e-muKHtasar Kahin for youth and Student by Aziz Tamannai. Free Download Yunhi KaTe Na Rahguzar-e-muKHtasar Kahin in PDF.