UTha Ke Mere Zehn Se Shabab Koi Le Gaya

uTha ke mere zehn se shabab koi le gaya

andhere chiKHte hain aaftab koi le gaya

main sare kaghzat le ke dekhta hi rah gaya

sawab koi le gaya azab koi le gaya

supurd kar ke KHamushi ki mohr-e-KHush-numa mujhe

labon se nara-ha-e-inqalab koi le gaya

hai e'tiraf mere hath mein jo ek chiz thi

sambhaal kar rakha to tha janab koi le gaya

ye gham nahin ki mujh ko jagna paDa hai umr bhar

ye ranj hai ki mere sare KHwab koi le gaya

shajar shajar waraq waraq payam-bar wahan bhi hai

jahan se har sahifa har kitab koi le gaya

shanaKHt ho saki na phir bhi ye mera qusur tha

hamare darmiyan tha jo hijab koi le gaya

(764) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UTha Ke Mere Zehn Se Shabab Koi Le Gaya In English By Famous Poet Aziz Tamannai. UTha Ke Mere Zehn Se Shabab Koi Le Gaya is written by Aziz Tamannai. Read famous Poem UTha Ke Mere Zehn Se Shabab Koi Le Gaya for youth and Student by Aziz Tamannai. Free Download UTha Ke Mere Zehn Se Shabab Koi Le Gaya in PDF.