Parchhaiyan

zarron ke dahakte aiwan mein

do shoala-ba-jaan larzan sae

masruf-e-naza-e-baham hain

uD uD ke ghubar-e-rah-e-adam

aiwan ke band darichon se

Takra ke bikharte jate hain

kohre mein panapti samton se

nazad hawaon ke jhonke

nadida aahani pardon par

rah rah ke jhapaTte rahte hain

ek pal do pul ki baat nahin

zarron ke mahal ki baat nahin

har resha-e-gul har sang-e-giran

har mauj-e-rawan ke sine mein

ye bint-e-azal aur bint-e-abad ki

shoala-ba-jaan parchhaiyan yun hi

sar-garm-e-paikar na jaane kab se hain

aur hum hain ki salik-e-rah-e-baqa

hathon mein liye fanus-e-fana

zarron se gurezan

suraj ki nayab shuaon ke arman

sinon mein chhupae jate hain

KHud ko bahlae jate hain

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parchhaiyan In English By Famous Poet Aziz Tamannai. Parchhaiyan is written by Aziz Tamannai. Read famous Poem Parchhaiyan for youth and Student by Aziz Tamannai. Free Download Parchhaiyan in PDF.