Dil Mein Hamare Ab Koi Arman Nahin Raha

dil mein hamare ab koi arman nahin raha

wo ehtimam-e-gardish-e-dauran nahin raha

pesh-e-nazar wo KHusraw-e-KHuban nahin raha

meri hayat-e-shauq ka saman nahin raha

samjha raha hun yun dil-e-muztar ko hijr mein

wo kaun hai jo gham se pareshan nahin raha

dekha hai main ne gesu-e-kafir ka mojaza

tar-e-nafas bhi mera musalman nahin raha

ashkon ke sath sath kuchh arman nikal gae

bechainiyon ka dil mein wo tufan nahin raha

ai chaarasaz sai-e-musalsal fuzul hai

tera mariz qabil-e-darman nahin raha

us ki hayat us ke liye maut ai 'aziz'

jis par ki us nigah ka ehsan nahin raha

(924) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Hamare Ab Koi Arman Nahin Raha In English By Famous Poet Aziz Warsi. Dil Mein Hamare Ab Koi Arman Nahin Raha is written by Aziz Warsi. Read famous Poem Dil Mein Hamare Ab Koi Arman Nahin Raha for youth and Student by Aziz Warsi. Free Download Dil Mein Hamare Ab Koi Arman Nahin Raha in PDF.