Ek Hum Ki Un Ke Waste Mahw-e-fughan Rahe

ek hum ki un ke waste mahw-e-fughan rahe

ek wo ki dast-e-shauq se daman-kashan rahe

dil mein yahi KHalish rahe soz-e-nihan rahe

lekin mazaq-e-ishq-o-mohabbat jawan rahe

ek waqt tha ki dil ko sukun ki talash thi

aur ab ye aarzu hai ki dard-e-nihan rahe

ahl-e-wafa par aain hazaron musibaten

ye sab rahin-e-gardish-e-haft-asman rahe

un ka shabab har gul-e-nauras se phaT paDa

chhupne ke bawajud wo har su ayan rahe

hum ne hazar tarah kiya un ko mutmain

har baat par wo hum se magar bad-guman rahe

allah re talKH-kaami-e-ulfat ki intiha

mujh se mere 'aziz' bhi daman-kashan rahe

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Hum Ki Un Ke Waste Mahw-e-fughan Rahe In English By Famous Poet Aziz Warsi. Ek Hum Ki Un Ke Waste Mahw-e-fughan Rahe is written by Aziz Warsi. Read famous Poem Ek Hum Ki Un Ke Waste Mahw-e-fughan Rahe for youth and Student by Aziz Warsi. Free Download Ek Hum Ki Un Ke Waste Mahw-e-fughan Rahe in PDF.