Itne Nazdik Se Aaine Ko Dekha Na Karo

itne nazdik se aaine ko dekha na karo

ruKH-e-zeba ki latafat ko baDhaya na karo

dard o aazar ka tum mere mudawa na karo

rahne do apni masihai ka dawa na karo

husn ke samne izhaar-e-tamanna na karo

ishq ek raaz hai is raaz ko ifsha na karo

apni mahfil mein mujhe ghaur se dekha na karo

main tamasha hun magar tum to tamasha na karo

sari duniya tumhein kah degi tumhin ho qatil

dekho mujh ko ghalat andaz se dekha na karo

kaise mumkin hai ki hum donon bichhaD jaenge

itni gahrai se har baat ko socha na karo

tum pe ilzam na aa jae safar mein koi

rasta kitna hi dushwar ho Thahra na karo

wo koi shaKH ho mizrab ho ya dil ho 'aziz'

TuTne wali kisi shai ka bharosa na karo

(954) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itne Nazdik Se Aaine Ko Dekha Na Karo In English By Famous Poet Aziz Warsi. Itne Nazdik Se Aaine Ko Dekha Na Karo is written by Aziz Warsi. Read famous Poem Itne Nazdik Se Aaine Ko Dekha Na Karo for youth and Student by Aziz Warsi. Free Download Itne Nazdik Se Aaine Ko Dekha Na Karo in PDF.