Jahan Mein Hum Jise Bhi Pyar Ke Qabil Samajhte Hain

jahan mein hum jise bhi pyar ke qabil samajhte hain

haqiqat mein usi ko zist ka hasil samajhte hain

mila karta hai dast-e-ghaib se maKHsus bandon ko

kisi ke dard ko hum kaenat-e-dil samajhte hain

jinhen shauq-e-talab ne quwwat-e-bazu ata ki hai

talatum-KHez tughyani ko wo sahil samajhte hain

sitam aise kiye tamsil jin ki mil nahin sakti

magar wo is jafa ko awwalin manzil samajhte hain

mohabbat lafz to sada sa hai lekin 'aziz' is ko

mata-e-dil samajhte the mata-e-dil samajhte hain

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Mein Hum Jise Bhi Pyar Ke Qabil Samajhte Hain In English By Famous Poet Aziz Warsi. Jahan Mein Hum Jise Bhi Pyar Ke Qabil Samajhte Hain is written by Aziz Warsi. Read famous Poem Jahan Mein Hum Jise Bhi Pyar Ke Qabil Samajhte Hain for youth and Student by Aziz Warsi. Free Download Jahan Mein Hum Jise Bhi Pyar Ke Qabil Samajhte Hain in PDF.