KHushi Mahsus Karta Hun Na Gham Mahsus Karta Hun

KHushi mahsus karta hun na gham mahsus karta hun

bahr-alam tumhaara hi karam mahsus karta hun

alam apna to duniya mein sabhi mahsus karte hain

magar main hun ki duniya ka alam mahsus karta hun

bas itni baat par momin mujhe kafir samajhte hain

dar-e-jaanan ko mehrab-e-haram mahsus karta hun

abhi saqi ka faiz-e-am shayad na-mukammal hai

abhi kuchh imtiyaz-e-besh-o-kam mahsus karta hun

haram walon ko ahl-e-but-kada kuchh bhi samajhte hon

magar main but-kade ko bhi haram mahsus karta hun

meri taqdir se pahle sanwarna jin ka mushkil hai

teri zulfon mein kuchh aise bhi KHam mahsus karta hun

'aziz'-e-warsi ye bhi kisi ka mujh pe ehsan hai

ki har mahfil mein ab apna bharam mahsus karta hun

(917) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushi Mahsus Karta Hun Na Gham Mahsus Karta Hun In English By Famous Poet Aziz Warsi. KHushi Mahsus Karta Hun Na Gham Mahsus Karta Hun is written by Aziz Warsi. Read famous Poem KHushi Mahsus Karta Hun Na Gham Mahsus Karta Hun for youth and Student by Aziz Warsi. Free Download KHushi Mahsus Karta Hun Na Gham Mahsus Karta Hun in PDF.