Sozish-e-gham Ke Siwa Kahish-e-furqat Ke Siwa

sozish-e-gham ke siwa kahish-e-furqat ke siwa

ishq mein kuchh bhi nahin dard ki lazzat ke siwa

dil mein ab kuchh bhi nahin un ki mohabbat ke siwa

sab fasane hain haqiqat mein haqiqat ke siwa

kaun kah sakta hai ye ahl-e-tariqat ke siwa

sare jhagDe hain jahan mein teri nisbat ke siwa

kitne chehron ne mujhe dawat-e-jalwa baKHshi

koi surat na mili aap ki surat ke siwa

gham-e-uqba gham-e-dauran gham-e-hasti ki qasam

aur bhi gham hain zamane mein mohabbat ke siwa

bazm-e-jaanan mein are zauq-e-farawan ab tak

kuchh bhi hasil na hua dida-e-hairat ke siwa

wo shab-e-hijr wo tarik faza wo wahshat

koi gham-KHwar na tha dard ki shiddat ke siwa

mohtasib aao chalen aaj to mai-KHane mein

ek jannat hai wahan aap ki jannat ke siwa

jo tahi-dast bhi hai aur tahi-daman bhi

wo kahan jaega tere dar-e-daulat ke siwa

jis ne qudrat ke har iqdam se Takkar li hai

wo pashiman na hua jabr-e-mashiyyat ke siwa

mujh se ye puchh rahe hain mere ahbab 'aziz'

kya mila shahr-e-suKHan mein tumhein shohrat ke siwa

(773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sozish-e-gham Ke Siwa Kahish-e-furqat Ke Siwa In English By Famous Poet Aziz Warsi. Sozish-e-gham Ke Siwa Kahish-e-furqat Ke Siwa is written by Aziz Warsi. Read famous Poem Sozish-e-gham Ke Siwa Kahish-e-furqat Ke Siwa for youth and Student by Aziz Warsi. Free Download Sozish-e-gham Ke Siwa Kahish-e-furqat Ke Siwa in PDF.