Teri Mahfil Mein Farq-e-kufr-o-iman Kaun Dekhega

teri mahfil mein farq-e-kufr-o-iman kaun dekhega

fasana hi nahin koi to unwan kaun dekhega

yahan to ek laila ke na jaane kitne majnun hain

yahan apna gareban apna daman kaun dekhega

bahut nikle hain lekin phir bhi kuchh arman hain dil mein

ba-juz tere mera ye soz-e-pinhan kaun dekhega

agar parde ki jumbish se larazta hai to phir ai dil

tajalli-e-jamal-e-ru-e-jaanan kaun dekhega

agar hum se KHafa hona hai to ho jaiye hazrat

hamare baad phir andaz-e-yazdan kaun dekhega

mujhe pi kar bahakne mein bahut hi lutf aata hai

na tum dekhoge to phir mujh ko farhan kaun dekhega

jise kahta hai ek aalam 'aziz'-e-waris-e-alam

use aalam mein hairan-o-pareshan kaun dekhega

(964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Mahfil Mein Farq-e-kufr-o-iman Kaun Dekhega In English By Famous Poet Aziz Warsi. Teri Mahfil Mein Farq-e-kufr-o-iman Kaun Dekhega is written by Aziz Warsi. Read famous Poem Teri Mahfil Mein Farq-e-kufr-o-iman Kaun Dekhega for youth and Student by Aziz Warsi. Free Download Teri Mahfil Mein Farq-e-kufr-o-iman Kaun Dekhega in PDF.