Haare Hue Logon Ki Kahani Ki Tarah Hain

haare hue logon ki kahani ki tarah hain

hum log bhi bahte hue pani ki tarah hain

duniya tere hone ka yaqin kyun nahin karti

hum bhi to yahan teri nishani ki tarah hain

chupke se guzarte hain KHabar bhi nahin hoti

din raat bhi kam-baKHt jawani ki tarah hain

gar nam kamana hai tumhein itna samajh lo

aansu bhi mohabbat ki nishani ki tarah hain

is bar hai hona bhi na hone ke barabar

is bar to hum jaise kahani ki tarah hain

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haare Hue Logon Ki Kahani Ki Tarah Hain In English By Famous Poet Azlan Shah. Haare Hue Logon Ki Kahani Ki Tarah Hain is written by Azlan Shah. Read famous Poem Haare Hue Logon Ki Kahani Ki Tarah Hain for youth and Student by Azlan Shah. Free Download Haare Hue Logon Ki Kahani Ki Tarah Hain in PDF.