Haar Ko Jit Ke Imkan Se Bandhe Hue Rakh

haar ko jit ke imkan se bandhe hue rakh

apni mushkil kisi aasan se bandhe hue rakh

tujh ko malum se aage kahin jaana hai to phir

KHwab ko dida-e-hairan se bandhe hue rakh

warna mushkil baDi hogi yahan duniya-dari

dekh insan ko insan se bandhe hue rakh

jo bhulane pe kabhi bhul nahin pata hai

mujh ko apne usi ehsan se bandhe hue rakh

(2533) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Haar Ko Jit Ke Imkan Se Bandhe Hue Rakh In English By Famous Poet Azlan Shah. Haar Ko Jit Ke Imkan Se Bandhe Hue Rakh is written by Azlan Shah. Read famous Poem Haar Ko Jit Ke Imkan Se Bandhe Hue Rakh for youth and Student by Azlan Shah. Free Download Haar Ko Jit Ke Imkan Se Bandhe Hue Rakh in PDF.