Dusra RuKH Nahin Jis Ka Usi Taswir Ka Hai

dusra ruKH nahin jis ka usi taswir ka hai

masala bhule hue KHwab ki tabir ka hai

chand qadmon se ziyaada nahin chalne pate

jis ko dekho wahi qaidi kisi zanjir ka hai

jo bhi karna hai faqat dil ki tasalli ke liye

waqt tahrir ka hai aur na tadbir ka hai

tum mohabbat ka use nam bhi de lo lekin

ye to qissa kisi haari hui taqdir ka hai

ye jo chalne nahin pate teri jaanib dar-asl

jaldi jaldi mein kahin Dar hamein taKHir ka hai

bilkul aise mujhe hasil hai himayat sab ki

har koi jaise taraf-dar yahan hir ka hai

(887) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dusra RuKH Nahin Jis Ka Usi Taswir Ka Hai In English By Famous Poet Azlan Shah. Dusra RuKH Nahin Jis Ka Usi Taswir Ka Hai is written by Azlan Shah. Read famous Poem Dusra RuKH Nahin Jis Ka Usi Taswir Ka Hai for youth and Student by Azlan Shah. Free Download Dusra RuKH Nahin Jis Ka Usi Taswir Ka Hai in PDF.