Ye KHazane Ka Koi Sanp Bana Hota Hai

ye KHazane ka koi sanp bana hota hai

aadmi ishq mein duniya se bura hota hai

kaam aata nahin bilkul koi rona-dhona

jaane wala to kahin dur gaya hota hai

jhonk kar dhul nigahon mein jahan walon ki

wo hamesha ki tarah mera hua hota hai

likh di hoti hai muqaddar mein bulandi jis ke

surat-e-KHak wo qadmon mein paDa hota hai

karni paDti hai usi mein hamein tarmim ki jo

waqia pahle se tartib diya hota hai

(900) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye KHazane Ka Koi Sanp Bana Hota Hai In English By Famous Poet Azlan Shah. Ye KHazane Ka Koi Sanp Bana Hota Hai is written by Azlan Shah. Read famous Poem Ye KHazane Ka Koi Sanp Bana Hota Hai for youth and Student by Azlan Shah. Free Download Ye KHazane Ka Koi Sanp Bana Hota Hai in PDF.