Samajh Ke Rasta Idhar Se Guzarne Walon Ne

samajh ke rasta idhar se guzarne walon ne

kahin ka chhoDa na dil se utarne walon ne

bane-banae hue raston pe chalte hue

KHuda banae KHudai se Darne walon ne

hazar chhed kiye jholiyon mein apnon ki

tumhaare nam pe KHairaat karne walon ne

tawil umr ki Dheron duaen bheji hain

mere charagh ko pani se bharne walon ne

hamari aankh mein ek bund bhi nahin chhoDi

misal-e-abr falak par ubharne walon ne

ye kis tarah ke ajab wahimon mein Dal diya

sharab o shahd ki tasdiq karne walon ne

zaban-bandi pe majbur ho gai duniya

wo khel khela hai hairat se marne walon ne

charagh-e-rah ko ghaarat-gari sikhai hai

hawa-e-shahr pe ilzam dharne walon ne

(934) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samajh Ke Rasta Idhar Se Guzarne Walon Ne In English By Famous Poet Azlan Shah. Samajh Ke Rasta Idhar Se Guzarne Walon Ne is written by Azlan Shah. Read famous Poem Samajh Ke Rasta Idhar Se Guzarne Walon Ne for youth and Student by Azlan Shah. Free Download Samajh Ke Rasta Idhar Se Guzarne Walon Ne in PDF.