Dil Soya Hua Tha Muddat Se Ye Kaisi Bashaarat Jagi Hai

dil soya hua tha muddat se ye kaisi bashaarat jagi hai

is bar lahu mein KHwab nahin tabir ki lazzat jati hai

is bar nazar ke aangan mein jo phul khila KHush-rang laga

is bar basarat ke dil mein nadida basirat jagi hai

ek baam-e-suKHan par hum ne bhi kuchh kahne ki KHwahish ki thi

ek umr ke baad hamare liye ab ja ke samaat jagi hai

ek dast-e-dua ki narmi se ek chashm-e-talab ki surKHi tak

ahwal barabar hone mein ek nasl ki wahshat jagi hai

ai tana-zanon do chaar baras tum bol liye ab dekhte jao

shamshir-e-suKHan kis hath mein hai kis KHun mein hiddat jagi hai

(1043) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Soya Hua Tha Muddat Se Ye Kaisi Bashaarat Jagi Hai In English By Famous Poet Azm Bahzad. Dil Soya Hua Tha Muddat Se Ye Kaisi Bashaarat Jagi Hai is written by Azm Bahzad. Read famous Poem Dil Soya Hua Tha Muddat Se Ye Kaisi Bashaarat Jagi Hai for youth and Student by Azm Bahzad. Free Download Dil Soya Hua Tha Muddat Se Ye Kaisi Bashaarat Jagi Hai in PDF.