Jo Baat Shart-e-visal Thahri Wahi Hai Ab Wajh-e-bad-gumani

jo baat shart-e-visal Thahri wahi hai ab wajh-e-bad-gumani

idhar hai is baat par KHamoshi udhar hai pahli se be-zabani

kisi sitare se kya shikayat ki raat sab kuchh bujha hua tha

fasurdagi likh rahi thi dil par shikastagi ki nai kahani

ajib aashob-e-waza-dari hamare aasab par hai tari

labon pe tartib-e-KHush-kalami dilon mein tanzim-e-nauha-KHwani

hamare lahje mein ye tawazun baDi saubat ke baad aaya

kai mizajon ke dasht dekhe kai rawayyon ki KHak chhani

(2786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Baat Shart-e-visal Thahri Wahi Hai Ab Wajh-e-bad-gumani In English By Famous Poet Azm Bahzad. Jo Baat Shart-e-visal Thahri Wahi Hai Ab Wajh-e-bad-gumani is written by Azm Bahzad. Read famous Poem Jo Baat Shart-e-visal Thahri Wahi Hai Ab Wajh-e-bad-gumani for youth and Student by Azm Bahzad. Free Download Jo Baat Shart-e-visal Thahri Wahi Hai Ab Wajh-e-bad-gumani in PDF.