Jo Yahan Hazir Hai Wo Misl-e-guman Maujud Hai

jo yahan hazir hai wo misl-e-guman maujud hai

aur jo ghaeb hai us ki dastan maujud hai

ai ghubar-e-KHwahish-e-yak-umr apni rah le

is gali mein tujh se pahle ek jahan maujud hai

ab kisi amboh-e-gum-gashta ki jaanib ho safar

aur koi chupke se kah de tu kahan maujud hai

shayad aa pahuncha hai ahd-e-intizar-e-guftugu

chaar jaanib KHilqat-e-lab-bastagan maujud hai

raat phir aankhon se bah nikli tamanna-e-visal

aisa lagta tha ki tu bhi darmiyan maujud hai

pahle thi ek tishnagi mahrumiyon se ham-kanar

ab ragon mein nashsha-e-umr-e-rawan maujud hai

azm KHud ko karwan-e-nafa mein shamil na kar

tere shanon par abhi bar-e-ziyan maujud hai

(998) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Yahan Hazir Hai Wo Misl-e-guman Maujud Hai In English By Famous Poet Azm Bahzad. Jo Yahan Hazir Hai Wo Misl-e-guman Maujud Hai is written by Azm Bahzad. Read famous Poem Jo Yahan Hazir Hai Wo Misl-e-guman Maujud Hai for youth and Student by Azm Bahzad. Free Download Jo Yahan Hazir Hai Wo Misl-e-guman Maujud Hai in PDF.