Kahin Goyai Ke Hathon Samaat Ro Rahi Hai

kahin goyai ke hathon samaat ro rahi hai

kahin lab-basta rah jaane ki hasrat ro rahi hai

kisi diwar par naKHun ne likkha hai rihai

kisi ghar mein asiri ki aziyyat ro rahi hai

kahin mimbar pe KHush baiTha hai ek sajde ka nashsha

kisi mehrab ke niche ibaadat ro rahi hai

ye mathe par pasine ki jo larzish tum ne dekhi

ye ek chehre pe la-hasil mashaqqat ro rahi hai

ajab mahfil hai sab ek dusre par hans rahe hain

ajab tanhai hai KHalwat ki KHalwat ro rahi hai

ye KHamoshi nahin sab iltijaen thak chuki hain

ye aankhen tar nahin rone ki himmat ro rahi hai

jo baad-az-hijr aaya us ko kaise wasl kah dun

shikayat se gale mil kar nadamat ro rahi hai

ise ghussa na samjho 'azm' ye mere lahu mein

musalsal zabt karne ki riwayat ro rahi hai

(1047) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Goyai Ke Hathon Samaat Ro Rahi Hai In English By Famous Poet Azm Bahzad. Kahin Goyai Ke Hathon Samaat Ro Rahi Hai is written by Azm Bahzad. Read famous Poem Kahin Goyai Ke Hathon Samaat Ro Rahi Hai for youth and Student by Azm Bahzad. Free Download Kahin Goyai Ke Hathon Samaat Ro Rahi Hai in PDF.