Khulta Nahin Ki Hum Mein KHizan-dida Kaun Hai

khulta nahin ki hum mein KHizan-dida kaun hai

aasudgi ke bab mein ranjida kaun hai

aamadgi ko wasl se mashrut mat samajh

ye dekh is sawal pe sanjida kaun hai

dekhun jo aaina to ghunuda dikhai dun

main KHwab mein nahin to ye KHwabida kaun hai

amboh-e-ahl-e-zaKHm to kab ka guzar chuka

ab rahguzar pe KHak mein ghaltida kaun hai

ai karb-na-rasai kabhi ye to ghaur kar

mere siwa yahan tera girwida kaun hai

har shaKHs dusre ki malamat ka hai shikar

aaKHir yahan kisi ka pasandida kaun hai

to azm-e-tark-e-ishq pe qaem to hai magar

tujh mein ye chand roz se larzida kaun hai

(904) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khulta Nahin Ki Hum Mein KHizan-dida Kaun Hai In English By Famous Poet Azm Bahzad. Khulta Nahin Ki Hum Mein KHizan-dida Kaun Hai is written by Azm Bahzad. Read famous Poem Khulta Nahin Ki Hum Mein KHizan-dida Kaun Hai for youth and Student by Azm Bahzad. Free Download Khulta Nahin Ki Hum Mein KHizan-dida Kaun Hai in PDF.