Main Umar Ke Raste Mein Chup-chap Bikhar Jata

main umar ke raste mein chup-chap bikhar jata

ek din bhi agar apni tanhai se Dar jata

main tark-e-talluq par zinda hun so mujrim hun

kash us ke liye jita apne liye mar jata

us raat koi KHushbu qurbat mein nahin jagi

main warna sanwar jata aur wo bhi nikhar jata

us jaan-e-takallum ko tum mujh se to milwate

tasKHir na kar pata hairan to kar jata

kal samne manzil thi pichhe meri aawazen

chalta to bichhaD jata rukta to safar jata

main shahr ki raunaq mein gum ho ke bahut KHush tha

ek sham bacha leta ek rose to ghar jata

mahrum fazaon mein mayus nazaron mein

tum 'azm' nahin Thahre main kaise Thahar jata

(1920) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Umar Ke Raste Mein Chup-chap Bikhar Jata In English By Famous Poet Azm Bahzad. Main Umar Ke Raste Mein Chup-chap Bikhar Jata is written by Azm Bahzad. Read famous Poem Main Umar Ke Raste Mein Chup-chap Bikhar Jata for youth and Student by Azm Bahzad. Free Download Main Umar Ke Raste Mein Chup-chap Bikhar Jata in PDF.