Agar Dasht-e-talab Se Dasht-e-imkani Mein Aa Jate

agar dasht-e-talab se dasht-e-imkani mein aa jate

mohabbat karne wale dal pareshani mein aa jate

hisar-e-sabr se jis roz main bahar nikal aata

samundar KHud meri aaankhon ki virani mein aa jate

agar sae se jal jaane ka itna KHauf tha to phir

sahar hote hi suraj ki nigahbani mein aa jate

junun ki azmaton se aashnai hi na thi warna

jo the ahl-e-KHirad sab chaak-damani mein aa jate

kisi zardar ki yun naz-bardari se behtar tha

kisi ujDe hue dil ki bayabani mein aa jate

(1153) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Dasht-e-talab Se Dasht-e-imkani Mein Aa Jate In English By Famous Poet Azm Shakri. Agar Dasht-e-talab Se Dasht-e-imkani Mein Aa Jate is written by Azm Shakri. Read famous Poem Agar Dasht-e-talab Se Dasht-e-imkani Mein Aa Jate for youth and Student by Azm Shakri. Free Download Agar Dasht-e-talab Se Dasht-e-imkani Mein Aa Jate in PDF.